“BHARAT KI AZADI KA AMRIT” – A Poem By Hardik Jain.
Is kavita ke peeche ka vichar yeh hai ki hum apni aazadi ki kahani ko ek shok bhari, lekin gauravshali andaaz mein yaad karein. Bharat ke veeron ki qurbaniyon aur unke sapnon ko yaad karte hue, hum apne desh ke viksit hone ka sapna dekhte hain, jo 1947 se lekar aaj tak ka safar aur Modi Ji ke naye iraadon se judta hai. Yeh kavita ek tarah se un shaheedon ko shraddhanjali hai, jinhone apni jaan de kar Bharat ko azaad karaya, aur har Hindustani ke dil mein deshbhakti ka ek naya junoon jagane ki koshish hai.
Aaj fir se aaya hai woh ek din,
Jab Bharat ne apni kahani thi likhi,
Satattar (77) saalon ke yeh lambe safar mai,
Har qadam par shaheedon ki qurbani thi.
Azadi ke din ki yaad hi hai asal sukoon,
Jab Bharat ne payi thi apni asli rooh,
Jis lahu se rang gayi thi apni yeh zameen,
Jaha veeron ne sapno ko diya tha apna aasmaan.
Tirange ke rangon ko dekh, bhigti hai aankhen,
Jismein chhupi hai veeron ki amar yaadein,
Aazadi ke is paavan din par sabko hai milna,
Aur dil se unka swaagat, hum sab ko hai karna.
Khoon se tilak hua tha jahan,
Aaj phir se khilte hai phool wahan,
Kisne socha tha, woh chhoti si chingari,
Banegi ek aazadi ki mashal ki roshni.
Lahu ke qatre qatre mein,
Veer jawanon ka hai karz,
Zindagi se bhari thi jo sarzameen,
Ab hai swaraj ka khwab hamara farz.
Shaheedon ki wo kahani,
Khoon se jo likhi gayi thi,
Aaj usi ke safar mein,
Har ek-ke dil mein, unki yaadein basi hain.
Azadi ke is din pe hai ek naya junoon,
Zameen se aasmaan tak, hai jashn ka sukoon,
Har dil mein swaraj ka iraada hai gehra,
Bharat ka esa naya rang, jo har dil mein chaa gaya.
Yeh din hai Bharat ke sapno ka,
Un sapno ka jo hue the true,
Azadi ki is kahani mein,
Har pal hain shaheedon ko tribute.
Jahan-jahan hai humari yaadein basi,
Un jagaon pe hai veeron ka waas,
Azadi ki is kahani mein,
Har shabd mein hai unka ehsaas.
1947 ka woh din yaad hai,
Jab azadi ne khushiyon ka paighaam diya,
200 saalon se andheraa jo tha,
Ek din mein roshni se bhar diya.
1947 ke andheray se nikal kar,
Bharat ne ek naya sapna sajaya,
Har gaon, har sheher mein ujala failaya,
Aur har dil mein deshbhakti ka saaya hain bharaya.
Yeh Bharat ka naya iraada hai,
Viksit Bharat ka sapna humara hai,
Azadi ke is din mein jo aasha hai,
Har deshbhakt ka dil usmein basa hai.
Modiji ka sandesh hai, ek nayi raah dikhana,
Sapno mein hai “Viksit Bharat” ka ek naya iraada.
Yaadon mein ab tak hai woh andhera kuch zyada.
Lekin 2047 tak har gaon aur sheher mein failana hai ujala.
Lal Qile se aaj fir, lehraega tiranga apni shaan se,
ModiJi denge apna sandesh, ek naye arman se.
Jinhone apni jaan di, desh ke naam,
Unke liye hai yeh din, ek gaurav aur aashirwad ka paigam.
Yeh unka gyaarvan bhashan hoga,
Aur pehli baar unke teesre tenure mein.
Bharat ki unnati, viksit desh ka iraada,
Har Hindustani ke dil mein, unke har thought mein.
Aaj ke mehmaan bhi hai khaas,
Kisan, yuva, aur nari ke saath,
Panchayat se le kar sheher ki raahon tak,
Sab ka hai yeh din, ek behtareen nishaan.
(4000) Chaar Hazaar mehmaan aayenge iss baar,
ModiJi ka sapna, Bharat ka viksit sansaar,
(18000) Attarah Hazaar ka e-invitation,
Laye apno ko ek sath aur di nayi pehchaan.
(1000) Kisano ka sammaan hai sabse pehle,
Kyunki yeh hai desh ki maati ki shaan,
(300) Nari shakti ka gaurav bi toh hai,
Unki mehnat se desh ho raha mahaan.
(300) Panchayati Raj aur (600) Yuva ka utsah,
Bharat ke viksit safar ka pramaan,
(300) Tribal Affairs, (200) School Shiksha, aur (150) Sehat,
Sabhi ke khusiyon ka hain pyara uphaar.
(200) Border Roads Organisation ke veer,
Rakhte hai seema par nigahein,
(150) Sports se le kar (1200) Niti Aayog tak,
Sabke liye hai desh ka dil aur uski aawazen.
Har ghar mein lehraega tiranga,
Modi Ji ka yeh hai aagya pramaan,
Har gali, har sheher mein,
Goonjega deshbhakti ka ye paighaam.
Aazadi ka yeh din sirf Bharat ka hi nahi,
North Korea, South Korea, Bahrain ka bhi hai samaan,
Republic of Congo aur Liechtenstein bhi,
Maanate hai aaj ke din apna utkarsh aur abhimaan.
Yeh hai aazadi ka Amrit Mahotsav,
Jismein milti hai shaheedon ki yaad,
Har pal hota hain ek yaadgar smaranotsav,
Lehrata Tiranga dekh, sabke dil mein umadta khushi ka jazbaat.
“Shaheedon ki yaadon se hai roshan Bharat ki raah,
Unke lahu se saja hai, aazadi ka har imtihaan.”
By HARDIK JAIN. ©